Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo raushni jo shafaq ka libas chhoD gai

Tauqeer Abbas

wo raushni jo shafaq ka libas chhoD gai

Tauqeer Abbas

MORE BYTauqeer Abbas

    vo raushnī jo shafaq libās chhoḌ ga.ī

    mire liye to vo lamhe udaas chhoḌ ga.ī

    bahār dard bharā iqtibās chhoḌ ga.ī

    har ik shajar badan be-libās chhoḌ ga.ī

    ajiib lahar meñ ham ne havā saath diyā

    ajiib moḌ pe ab ġham-shanās chhoḌ ga.ī

    nasīm-e-sub.h guloñ ko gudāz detī rahī

    magar diloñ fazā ko udaas chhoḌ ga.ī

    phir is se uglā safar raushnī thā 'tauqīr'

    mujhe jahāñ vo sitāra-shanās chhoḌ ga.ī

    wo raushni jo shafaq ka libas chhoD gai

    mere liye to wo lamhe udas chhoD gai

    bahaar dard bhara iqtibas chhoD gai

    har ek shajar ka badan be-libas chhoD gai

    ajib lahar mein hum ne hawa ka sath diya

    ajib moD pe ab gham-shanas chhoD gai

    nasim-e-subh gulon ko gudaz deti rahi

    magar dilon ki faza ko udas chhoD gai

    phir is se ugla safar raushni ka tha 'tauqir'

    mujhe jahan wo sitara-shanas chhoD gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now