wo raushni ki ba-qaid-e-sahar nahin ai dost
wo raushni ki ba-qaid-e-sahar nahin ai dost
Ghulam Rabbani Taban
MORE BYGhulam Rabbani Taban
vo raushnī ki ba-qaid-e-sahar nahīñ ai dost
tirā jamāl hai merī nazar nahīñ ai dost
tire baġhair vo shām-o-sahar nahīñ ai dost
koī charāġh sar-e-rahguzar nahīñ ai dost
bahānā DhūñDh liyā tujh se baat karne kā
kuchh aur maqsad-e-arz-e-hunar nahīñ ai dost
shab-e-firāq ye mahviyatoñ kā aalam hai
kisī kī haa.e kisī ko ḳhabar nahīñ ai dost
mah o nujūm bhī garm-e-safar to haiñ lekin
koī bhī un meñ mirā ham-safar nahīñ ai dost
kabhī udhar se jo guzre to sarsarī guzre
savād-e-tūr tirī rahguzar nahīñ ai dost
wo raushni ki ba-qaid-e-sahar nahin ai dost
tera jamal hai meri nazar nahin ai dost
tere baghair wo sham-o-sahar nahin ai dost
koi charagh sar-e-rahguzar nahin ai dost
bahana DhunDh liya tujh se baat karne ka
kuchh aur maqsad-e-arz-e-hunar nahin ai dost
shab-e-firaq ye mahwiyaton ka aalam hai
kisi ki hae kisi ko KHabar nahin ai dost
mah o nujum bhi garm-e-safar to hain lekin
koi bhi un mein mera ham-safar nahin ai dost
kabhi udhar se jo guzre to sarsari guzre
sawad-e-tur teri rahguzar nahin ai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.