wo ruh ban ke meri fikr aur shuur mein hai
vo ruuh ban ke mirī fikr aur shu.ūr meñ hai
vo ek dard hai jo qalb-e-nā-subūr meñ hai
ye kā.enāt hai husn-e-azal kā aks-e-jamīl
shafaq ke rang meñ hai vo sahar ke nuur meñ hai
vo zahr-e-ġham ko bhī ik jām-e-angabīñ samjhā
vo bāda-kash jo ma-e-ishq ke surūr meñ hai
usī kā jalva hai dekho to dīda-e-dil se
nazar se chhup ke bhī vo ālam-e-zuhūr meñ hai
niyāz-e-ishq kahāñ shaiḳh kī ibādat meñ
ḳhayāl-e-yār meñ ham vo ḳhayāl-e-hūr meñ hai
wo ruh ban ke meri fikr aur shuur mein hai
wo ek dard hai jo qalb-e-na-subur mein hai
ye kaenat hai husn-e-azal ka aks-e-jamil
shafaq ke rang mein hai wo sahar ke nur mein hai
wo zahr-e-gham ko bhi ek jam-e-angabin samjha
wo baada-kash jo ma-e-ishq ke surur mein hai
usi ka jalwa hai dekho to dida-e-dil se
nazar se chhup ke bhi wo aalam-e-zuhur mein hai
niyaz-e-ishq kahan shaiKH ki ibaadat mein
KHayal-e-yar mein hum wo KHayal-e-hur mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.