wo ruThi ruThi ye kah rahi thi qarib aao mujhe manao
vo rūThī rūThī ye kah rahī thī qarīb aao mujhe manāo
ho mard to aage baḌh ke mujh ko gale lagāo mujhe manāo
maiñ kal se nārāz huuñ qasam se aur ek kone meñ jā paḌī huuñ
haañ maiñ ġhalat huuñ dikhāo phir bhī tumhī jhukāo mujhe manāo
tumhāre naḳhroñ se apnī an-ban to baḌhtī jā.egī sun rahe ho
tum ek sorry se ḳhatm kar sakte ho tanāv mujhe manāo
tumheñ pata bhī hai kis sakhī se tumhārā paalā paḌā huā hai
muaaf kar dūñgī tum ko fauran hī aao aao mujhe manāo
mujhe yuuñ apne se duur kar ke na ḳhush rahoge ġhurūr kar ke
so mujh se kuchh fāsle pe rakkho ye rakh-rakhāv mujhe manāo
mujhe batāo ki merī nārāzgī se tum ko hai farq koī
maiñ khā rahī huuñ na-jāne kab se hī pech-tāv mujhe manāo
mujhe pata hai mujhe manāne ko tum bhī bechain ho rahe ho
to kyā zarūrī hai tum bhī itne bharam dikhāo mujhe manāo
mirā irāda to pahle hī se hai maan jaane kā sach batā.ūñ
tum apne bhar bhī tamām harboñ ko āzmāo mujhe manāo
bahut bure ho mirī dikhāve kī niiñd ko bhī tum asl samjhe
kahīñ se sīkho piyār karnā mujhe jagāo mujhe manāo
tum apne andāz meñ ki jaise chaḌhā ke rakhte ho āstīneñ
to maiñ ''tumhārā'' radīf vaalī ġhazal sunāo mujhe manāo
ḳhilāf-e-mā'mūl muuD achchhā hai aaj merā maiñ kah rahī huuñ
ki phir kabhī mujh se karte rahnā ye bhāv-tāv mujhe manāo
maiñ parle darje kā haT-dharam thā ki phir bhī us ko manā na paayā
so ab bhī kānoñ meñ gūñjtā hai mujhe manāo mujhe manāo
wo ruThi ruThi ye kah rahi thi qarib aao mujhe manao
ho mard to aage baDh ke mujh ko gale lagao mujhe manao
main kal se naraaz hun qasam se aur ek kone mein ja paDi hun
han main ghalat hun dikhao phir bhi tumhi jhukao mujhe manao
tumhaare naKHron se apni an-ban to baDhti jaegi sun rahe ho
tum ek sorry se KHatm kar sakte ho tanaw mujhe manao
tumhein pata bhi hai kis sakhi se tumhaara pala paDa hua hai
muaf kar dungi tum ko fauran hi aao aao mujhe manao
mujhe yun apne se dur kar ke na KHush rahoge ghurur kar ke
so mujh se kuchh fasle pe rakkho ye rakh-rakhaw mujhe manao
mujhe batao ki meri naraazgi se tum ko hai farq koi
main kha rahi hun na-jaane kab se hi pech-taw mujhe manao
mujhe pata hai mujhe manane ko tum bhi bechain ho rahe ho
to kya zaruri hai tum bhi itne bharam dikhao mujhe manao
mera irada to pahle hi se hai man jaane ka sach bataun
tum apne bhar bhi tamam harbon ko aazmao mujhe manao
bahut bure ho meri dikhawe ki nind ko bhi tum asl samjhe
kahin se sikho piyar karna mujhe jagao mujhe manao
tum apne andaz mein ki jaise chaDha ke rakhte ho aastinen
to main tumhaara radif wali ghazal sunao mujhe manao
KHilaf-e-ma'mul muD achchha hai aaj mera main kah rahi hun
ki phir kabhi mujh se karte rahna ye bhaw-taw mujhe manao
main parle darje ka haT-dharam tha ki phir bhi us ko mana na paya
so ab bhi kanon mein gunjta hai mujhe manao mujhe manao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.