wo saat surat-e-chaqmaq jis se lau nikalti hai
vo sā'at sūrat-e-chaqmāq jis se lau nikaltī hai
talāsh-e-ādmī ke zāviye kyā kyā badaltī hai
kabhī ik lau se shashdar hai kabhī ik zau se hairāñ hai
zamīñ kis inkishāf-e-nār se yārab pighaltī hai
taġhayyur kī sadī hai ātishīñ ḳhvāboñ kī paikāreñ
rasad-gāhoñ ke ā.īnoñ meñ ik tā'bīr Dhaltī hai
nazar ko ik ufuq tāza-e-ruḳhī se terī miltā hai
vafā us fāsle kā raaz pā kar ḳhud sañbhaltī hai
nigāh-e-nāz sab ramz-e-mohabbat kah ga.ī āḳhir
ḳhirad kī parda-dārī kyā kaf-e-afsos maltī hai
lahū meñ aap jal uThtī hai koī sham-e-ḳhalvat sī
visāl-andāz us ke ḳhvāb meñ jab raat Dhaltī hai
rivāyat kī qanāteñ jis havā se jalne vaalī haiñ
savād-e-asia meñ vo havā ab tez chaltī hai
varaq ik dhund kā taaza taġhayyur jab ulaTtā hai
tarāshīda ruḳh-e-almās sī ik lau nikaltī hai
wo sa'at surat-e-chaqmaq jis se lau nikalti hai
talash-e-admi ke zawiye kya kya badalti hai
kabhi ek lau se shashdar hai kabhi ek zau se hairan hai
zamin kis inkishaf-e-nar se yarab pighalti hai
taghayyur ki sadi hai aatishin KHwabon ki paikaren
rasad-gahon ke aainon mein ek ta'bir Dhalti hai
nazar ko ek ufuq taza-e-ruKHi se teri milta hai
wafa us fasle ka raaz pa kar KHud sanbhalti hai
nigah-e-naz sab ramz-e-mohabbat kah gai aaKHir
KHirad ki parda-dari kya kaf-e-afsos malti hai
lahu mein aap jal uThti hai koi sham-e-KHalwat si
visal-andaz us ke KHwab mein jab raat Dhalti hai
riwayat ki qanaten jis hawa se jalne wali hain
sawad-e-asia mein wo hawa ab tez chalti hai
waraq ek dhund ka taza taghayyur jab ulaTta hai
tarashida ruKH-e-almas si ek lau nikalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.