wo samne jo mere ek bar aa jae
vo sāmne jo mire ek baar aa jaa.e
nazar ko chain to dil ko qarār aa jaa.e
vo log jin ko samajhte haiñ sab vafā-dushman
phir un pe kaise bhalā e.atibār aa jaa.e
taḌap rahā huuñ judā.ī meñ rāt-din jis kī
ḳhudā kare ki vo jān-e-bahār aa jaa.e
bahā.e ashk na shabnam kabhī jo gulshan meñ
yaqīñ nahīñ ki chaman par nikhār aa jaa.e
chhuTe na haath se 'māhir' vafāoñ kā dāman
rafīq kyā haiñ raqīboñ ko pyaar aa jaa.e
wo samne jo mere ek bar aa jae
nazar ko chain to dil ko qarar aa jae
wo log jin ko samajhte hain sab wafa-dushman
phir un pe kaise bhala eatibar aa jae
taDap raha hun judai mein raat-din jis ki
KHuda kare ki wo jaan-e-bahaar aa jae
bahae ashk na shabnam kabhi jo gulshan mein
yaqin nahin ki chaman par nikhaar aa jae
chhuTe na hath se 'mahir' wafaon ka daman
rafiq kya hain raqibon ko pyar aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.