wo sath aaya to meri uDan baiTh gai
vo saath aayā to merī uḌaan baiTh ga.ī
na jaane kyā huā mujh meñ thakān baiTh ga.ī
phir is ke baad parinde zamīñ pe girne lage
kisī kī aah sar-e-āsmān baiTh ga.ī
qarīb thā ki ta.alluq bahāl ho jaatā
ajab ḳhamoshī magar darmiyān baiTh ga.ī
havelī chhoḌ ke sab log chal diye lekin
har ek hujre meñ ik dāstān baiTh ga.ī
bulandiyoñ pe pahuñch kar maiñ ḳhush bahut thī magar
zamīñ kī samt jo dekhā to jaan baiTh ga.ī
zabāñ-darāzoñ se 'nusrat' kahāñ talak laḌtī
so dil pe sabr kī rakh kar chaTān baiTh ga.ī
wo sath aaya to meri uDan baiTh gai
na jaane kya hua mujh mein thakan baiTh gai
phir is ke baad parinde zamin pe girne lage
kisi ki aah sar-e-asman baiTh gai
qarib tha ki talluq bahaal ho jata
ajab KHamoshi magar darmiyan baiTh gai
haweli chhoD ke sab log chal diye lekin
har ek hujre mein ek dastan baiTh gai
bulandiyon pe pahunch kar main KHush bahut thi magar
zamin ki samt jo dekha to jaan baiTh gai
zaban-daraazon se 'nusrat' kahan talak laDti
so dil pe sabr ki rakh kar chaTan baiTh gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.