wo sadaen deta raha ho maine suna na ho kahin yun na ho
vo sadā.eñ detā rahā ho maiñ ne sunā na ho kahīñ yuuñ na ho
mujhe lag rahā ho judā magar vo judā na ho kahīñ yuuñ na ho
nahīñ koī rāz-e-yagāngī nahīñ koī sāz-e-fasāngī
magar ek sāz-e-fasāna rāz-e-yagāna ho kahīñ yuuñ na ho
maiñ samajhtā huuñ use ḳhush-nasīb koī chūmtā hai agar salīb
ki ye sāz-e-marg hī zindagī kā tarāna ho kahīñ yuuñ na ho
maiñ diyā-salā.ī kī raushnī meñ talāsh kartā rahā tumheñ
magar apnā maqsad añdherī raat batānā ho kahīñ yuuñ na ho
maiñ tumhāre 'ishq meñ rāt-din jo dikhā.ī detā huuñ mutma.in
mirā ghar hī sirf luTā ho dil to luTā na ho kahīñ yuuñ na ho
vo shumār-e-māh-o-nujūm ho ki ḳhumār-e-tark-e-rusūm ho
koī baar soch bichār hī kā paḌā na ho kahīñ yuuñ na ho
kisī hoñT se koī ras mile koī dam farishta-nafas mile
vo milā bhī ho to mujhe dobāra milā na ho kahīñ yuuñ na ho
tire paañv chhūtī vo sā.ateñ vo taġhayyurāt kī sabqateñ
kisī pul kā jaise kahīñ bhī koī sirā na ho kahīñ yuuñ na ho
jo hai apne rang meñ sandalī jo hai apne lams meñ maḳhmalī
mirī ḳhalvatoñ ko usī ne jaise lubhānā ho kahīñ yuuñ na ho
vo asās-e-azm se āshnā vo libās-e-nazm se rūnumā
kisī qāfiye yā radīf se vo khulā na ho kahīñ yuuñ na ho
koī ābshār na āb-e-jū kisī aur lahar kī aarzū
mirī pyaas bujhne kā aur koī Thikānā ho kahīñ yuuñ na ho
kahīñ yuuñ na ho koī pul-sirāt ke paar ho mirā muntazir
magar us ko jā ke udhar talāsh kiyā na ho kahīñ yuuñ na ho
kisī 'iid par yā basant par vo milegā 'umr ke ant par
maiñ ye sochtā huuñ ki ye bhī koī bahāna ho kahīñ yuuñ na ho
vo ufuq ba-nafsī jo kho chukā koī āftāb jo so chukā
unheñ rañj mere akele-pan kā rahā na ho kahīñ yuuñ na ho
mujhe naaz apne ḳhayāl par mujhe naaz us ke jamāl par
maiñ samajh rahā huuñ jise nayā vo nayā na ho kahīñ yuuñ na ho
mire dil ke diin ko bech kar koī le gayā mujhe khīñch kar
mire añg añg meñ apnā rang jamānā ho kahīñ yuuñ na ho
yahī ham-qadam kī haiñ laġhzish yahī zer-o-bam kī haiñ larzisheñ
jise bhūlnā na ho vo hī yaad rahā na ho kahīñ yuuñ na ho
koī sho'la sā jo bhaḌak uThā koī dard sā jo chamak uThā
mare dard dil kā ye āriza bhī purānā ho kahīñ yuuñ na ho
maiñ diye jalā.ūñ muñDer par ki zarūr aa.egā vo idhar
isī shaam vo kisī aur samt ravāna ho kahīñ yuuñ na ho
kabhī surma.ī kabhī ātishī kabhī nuqra.ī kabhī kāsnī
kisī ek rang meñ rah ke jī hī lagānā ho kahīñ yuuñ na ho
kisī farsh-o-arsh meñ kuchh nahīñ maiñ jhukā rahā huuñ yūñhī jabīñ
jise DhūñDūñ meñ vo qadam hī us ne rakhā na ho kahīñ yuuñ na ho
hameñ sar-kashī se muqaddaroñ ko badalnā aayā nahīñ abhī
magar aisā karnā mohabbatoñ meñ ridā na ho kahīñ yuuñ na ho
jo thī kal vo aaj hai zindagī abhī lā-'ilāj hai zindagī
ki masīh-e-asr ke paas us kī davā na ho kahīñ yuuñ na ho
vo musavvirī huī shā'irī kisī kaam aa.e ye sāhirī
dil-e-pāk-bāz bhī mah-ruḳhoñ kā divāna ho kahīñ yuuñ na ho
shab-e-vasl jalva-e-tūr sā vo badan chamaktā thā nuur sā
koī lā-zavāl vafūr-e-rañg-e-shabāna ho kahīñ yuuñ na ho
maiñ kahāñ se lā.ūñ vo zindagī jo sarāsar us kī ho bandagī
mirī ruuh kī jo talab hai us kī razā na ho kahīñ yuuñ na ho
mirā āḳhirat pe to hai yaqīñ kahīñ zahr ho na ye añgbīñ
maiñ haqīqat us ko samajh luuñ aur vo fasāna ho kahīñ yuuñ na ho
ye satīza-kārī na ho shurū' hai kahāñ ġhurūb kahāñ tulūa
jo tirā zamāna ho vo hī mirā zamāna ho kahīñ yuuñ na ho
maiñ guzar ke aayā huuñ qabr se ki 'ilāqa rakhtā huuñ sabr se
mirī ruuh meñ koī iztirāb-e-fanā na ho kahīñ yuuñ na ho
ye gurez to zarā kam karo mirī kā.enāt meñ ram karo
sau garm karo ki dobāra par ye ḳhalā na ho kahīñ yuuñ na ho
na suhāg-rāt chamak sakī yūñhī kasmasāte sahar huī
koī diip gum-shuda thāliyoñ meñ jalānā ho kahīñ yuuñ na ho
mujhe us kī shakl dikhā.ī de na hī apnī shakl dikhā.ī de
mirā ā.īna mire shīshagar kī 'atā na ho kahīñ yuuñ na ho
mujhī tīra-baḳht kī baat hai ki ye vaqt vaqt kī baat hai
jise yaad kar ke jiyūñ usī ko bhulānā ho kahīñ yuuñ na ho
jo hai mere dil kā mu'āmla jo hai nazm-e-dahr se māvarā
kahīñ us ke vāste harf-e-kun hī kahā na ho kahīñ yuuñ na ho
vo barahnagī kā qasīda kahte hue idhar nikal aayā thā
magar us kī āñkhoñ meñ satr-posh hayā na ho kahīñ yuuñ na ho
na vo yaar thā na vo dāshta meñ kahāñ panāh tarāshtā
mujhe le ke dil mirā dar-ba-dar hī phirā na ho kahīñ yuuñ na ho
sar-e-rāh siina nikāltā huā aayā thā jo vo ḳhush-nigāh
dil-ishq-ḳhū ko vo par ġhurūr lagā na ho kahīñ yuuñ na ho
ho 'abas yahāñ use dekhnā ho 'abas yahāñ use DhūñDhnā
mirā yaar mere baġhair jī hī sakā na ho kahīñ yuuñ na ho
vo ḳhayāl khol ke dekhnā vo savāl taul ke dekhnā
ki samajh rahe ho jise ḳhafā vo ḳhafā na ho kahīñ yuuñ na ho
mirī zindagī tirī bandagī se judā nahīñ kabhī ġhaur kar
mare ijtihād pe tū ne ġhaur kiyā na ho kahīñ yuuñ na ho
isī vāste abhī zindagī huuñ ki tumhārā chehra hai sāmne
koī aur shaḳhs mirī nazar meñ jachā na ho kahīñ yuuñ na ho
vo koī daġhā koī mā'rka vo shujā.ateñ aur muhāsara
vo koī qadīm rajaz sunā hī gayā na ho kahīñ yuuñ na ho
jo aziiz jaañ se hai kāfira use zeb de na munāfira
ye nahīñ ba.iid ki us ko pās-e-vafā na ho kahīñ yuuñ na ho
tirā husn asiir na kar sakā na maiñ tere vāste mar sakā
kahīñ merā saath mire ḳhudā ne diyā na ho kahīñ yuuñ na ho
koī hijratī ġham-e-dahr meñ ho ravāñ-davāñ kisī lahar meñ
koī rah rahā thā jahāñ vahāñ vo rahā na ho kahīñ yuuñ na ho
vo qurūn-e-asl kī sā.ateñ vo junūn-e-vasl kī rāhateñ
mire vāste hoñ mujhe pata hī chalā na ho kahīñ yuuñ na ho
kisī aur ke liye ho chhupā ke hañsī vo us ne rakhī huī
'zafar' ik mujhī ko hamesha ḳhuun rulānā ho kahīñ yuuñ na ho
wo sadaen deta raha ho main ne suna na ho kahin yun na ho
mujhe lag raha ho juda magar wo juda na ho kahin yun na ho
nahin koi raaz-e-yagangi nahin koi saz-e-fasangi
magar ek saz-e-fasana raaz-e-yagana ho kahin yun na ho
main samajhta hun use KHush-nasib koi chumta hai agar salib
ki ye saz-e-marg hi zindagi ka tarana ho kahin yun na ho
main diya-salai ki raushni mein talash karta raha tumhein
magar apna maqsad andheri raat batana ho kahin yun na ho
main tumhaare 'ishq mein raat-din jo dikhai deta hun mutmain
mera ghar hi sirf luTa ho dil to luTa na ho kahin yun na ho
wo shumar-e-mah-o-nujum ho ki KHumar-e-tark-e-rusum ho
koi bar soch bichaar hi ka paDa na ho kahin yun na ho
kisi honT se koi ras mile koi dam farishta-nafas mile
wo mila bhi ho to mujhe dobara mila na ho kahin yun na ho
tere panw chhuti wo saaten wo taghayyuraat ki sabqaten
kisi pul ka jaise kahin bhi koi sira na ho kahin yun na ho
jo hai apne rang mein sandali jo hai apne lams mein maKHmali
meri KHalwaton ko usi ne jaise lubhana ho kahin yun na ho
wo asas-e-azm se aashna wo libas-e-nazm se runuma
kisi qafiye ya radif se wo khula na ho kahin yun na ho
koi aabshaar na aab-e-ju kisi aur lahar ki aarzu
meri pyas bujhne ka aur koi Thikana ho kahin yun na ho
kahin yun na ho koi pul-siraat ke par ho mera muntazir
magar us ko ja ke udhar talash kiya na ho kahin yun na ho
kisi 'id par ya basant par wo milega 'umr ke ant par
main ye sochta hun ki ye bhi koi bahana ho kahin yun na ho
wo ufuq ba-nafsi jo kho chuka koi aaftab jo so chuka
unhen ranj mere akele-pan ka raha na ho kahin yun na ho
mujhe naz apne KHayal par mujhe naz us ke jamal par
main samajh raha hun jise naya wo naya na ho kahin yun na ho
mere dil ke din ko bech kar koi le gaya mujhe khinch kar
mere ang ang mein apna rang jamana ho kahin yun na ho
yahi ham-qadam ki hain laghzish yahi zer-o-bam ki hain larzishen
jise bhulna na ho wo hi yaad raha na ho kahin yun na ho
koi sho'la sa jo bhaDak uTha koi dard sa jo chamak uTha
mare dard dil ka ye aariza bhi purana ho kahin yun na ho
main diye jalaun munDer par ki zarur aaega wo idhar
isi sham wo kisi aur samt rawana ho kahin yun na ho
kabhi surmai kabhi aatishi kabhi nuqrai kabhi kasni
kisi ek rang mein rah ke ji hi lagana ho kahin yun na ho
kisi farsh-o-arsh mein kuchh nahin main jhuka raha hun yunhi jabin
jise DhunDun mein wo qadam hi us ne rakha na ho kahin yun na ho
hamein sar-kashi se muqaddaron ko badalna aaya nahin abhi
magar aisa karna mohabbaton mein rida na ho kahin yun na ho
jo thi kal wo aaj hai zindagi abhi la-'ilaj hai zindagi
ki masih-e-asr ke pas us ki dawa na ho kahin yun na ho
wo musawwiri hui sha'iri kisi kaam aae ye sahiri
dil-e-pak-baz bhi mah-ruKHon ka diwana ho kahin yun na ho
shab-e-wasl jalwa-e-tur sa wo badan chamakta tha nur sa
koi la-zawal wafur-e-rang-e-shabana ho kahin yun na ho
main kahan se laun wo zindagi jo sarasar us ki ho bandagi
meri ruh ki jo talab hai us ki raza na ho kahin yun na ho
mera aaKHirat pe to hai yaqin kahin zahr ho na ye angbin
main haqiqat us ko samajh lun aur wo fasana ho kahin yun na ho
ye satiza-kari na ho shuru' hai kahan ghurub kahan tulua
jo tera zamana ho wo hi mera zamana ho kahin yun na ho
main guzar ke aaya hun qabr se ki 'ilaqa rakhta hun sabr se
meri ruh mein koi iztirab-e-fana na ho kahin yun na ho
ye gurez to zara kam karo meri kaenat mein ram karo
sau garm karo ki dobara par ye KHala na ho kahin yun na ho
na suhag-raat chamak saki yunhi kasmasate sahar hui
koi dip gum-shuda thaaliyon mein jalana ho kahin yun na ho
mujhe us ki shakl dikhai de na hi apni shakl dikhai de
mera aaina mere shishagar ki 'ata na ho kahin yun na ho
mujhi tira-baKHt ki baat hai ki ye waqt waqt ki baat hai
jise yaad kar ke jiyun usi ko bhulana ho kahin yun na ho
jo hai mere dil ka mu'amla jo hai nazm-e-dahr se mawara
kahin us ke waste harf-e-kun hi kaha na ho kahin yun na ho
wo barahnagi ka qasida kahte hue idhar nikal aaya tha
magar us ki aankhon mein satr-posh haya na ho kahin yun na ho
na wo yar tha na wo dashta mein kahan panah tarashta
mujhe le ke dil mera dar-ba-dar hi phira na ho kahin yun na ho
sar-e-rah sina nikalta hua aaya tha jo wo KHush-nigah
dil-ishq-KHu ko wo par ghurur laga na ho kahin yun na ho
ho 'abas yahan use dekhna ho 'abas yahan use DhunDhna
mera yar mere baghair ji hi saka na ho kahin yun na ho
wo KHayal khol ke dekhna wo sawal taul ke dekhna
ki samajh rahe ho jise KHafa wo KHafa na ho kahin yun na ho
meri zindagi teri bandagi se juda nahin kabhi ghaur kar
mare ijtihad pe tu ne ghaur kiya na ho kahin yun na ho
isi waste abhi zindagi hun ki tumhaara chehra hai samne
koi aur shaKHs meri nazar mein jacha na ho kahin yun na ho
wo koi dagha koi ma'rka wo shujaaten aur muhasara
wo koi qadim rajaz suna hi gaya na ho kahin yun na ho
jo aziz jaan se hai kafira use zeb de na munafira
ye nahin baid ki us ko pas-e-wafa na ho kahin yun na ho
tera husn asir na kar saka na main tere waste mar saka
kahin mera sath mere KHuda ne diya na ho kahin yun na ho
koi hijrati gham-e-dahr mein ho rawan-dawan kisi lahar mein
koi rah raha tha jahan wahan wo raha na ho kahin yun na ho
wo qurun-e-asl ki saaten wo junun-e-wasl ki rahaten
mere waste hon mujhe pata hi chala na ho kahin yun na ho
kisi aur ke liye ho chhupa ke hansi wo us ne rakhi hui
'zafar' ek mujhi ko hamesha KHun rulana ho kahin yun na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.