wo sai qafas mein kar ki TuTe
vo sa.ī qafas meñ kar ki TuuTe
is meñ rahe bāl-o-par ki TuuTe
pā-e-talab us kī justujū meñ
yaañ tak phire dar-ba-dar ki TuuTe
rone kā taar bañdh rahā hai
aisā na ho chashm-e-tar ki TuuTe
hai be-mai-e-ishq shīsha-e-dil
maar us ko tū sañg par ki TuuTe
duniyā se to TūTtā nahīñ dil
aisī kuchh fikr kar ki TuuTe
huī bas ki ḳhushī-e-zaḳhm-e-tāza
haiñ Tāñke tire jigar ki TuuTe
mahshar meñ bhī niiñd ġhāfiloñ kī
mumkin nahīñ be-ḳhabar ki TuuTe
'joshish' har ḳhār-e-dasht par yaañ
is tarah qadam na dhar ki TuuTe
wo sai qafas mein kar ki TuTe
is mein rahe baal-o-par ki TuTe
pa-e-talab us ki justuju mein
yan tak phire dar-ba-dar ki TuTe
rone ka tar bandh raha hai
aisa na ho chashm-e-tar ki TuTe
hai be-mai-e-ishq shisha-e-dil
mar us ko tu sang par ki TuTe
duniya se to TuTta nahin dil
aisi kuchh fikr kar ki TuTe
hui bas ki KHushi-e-zaKHm-e-taza
hain Tanke tere jigar ki TuTe
mahshar mein bhi nind ghafilon ki
mumkin nahin be-KHabar ki TuTe
'joshish' har KHar-e-dasht par yan
is tarah qadam na dhar ki TuTe
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.