wo samundar hai to dariya bhi hai
vo samundar hai to dariyā bhī hai
kabhī khārā kabhī mīThā bhī hai
jism se ruuh ko shikva bhī hai
ruuh ne jism ko pahnā bhī hai
nazar aatā bhī huuñ us meñ maiñ magar
raaz us ko mujhe rakhnā bhī hai
fāsle bhī haiñ rakhe mujh se aur
apne dil meñ mujhe rakhtā bhī hai
aañkh bole hai laboñ par taale
kah ke sab chup use rahnā bhī hai
wo samundar hai to dariya bhi hai
kabhi khaara kabhi miTha bhi hai
jism se ruh ko shikwa bhi hai
ruh ne jism ko pahna bhi hai
nazar aata bhi hun us mein main magar
raaz us ko mujhe rakhna bhi hai
fasle bhi hain rakhe mujh se aur
apne dil mein mujhe rakhta bhi hai
aankh bole hai labon par tale
kah ke sab chup use rahna bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.