wo sar-phiri hawa thi sambhalna paDa mujhe
vo sar-phirī havā thī sambhalnā paḌā mujhe
maiñ āḳhirī charāġh thā jalnā paḌā mujhe
mahsūs kar rahā thā use apne aas paas
apnā ḳhayāl ḳhud hī badalnā paḌā mujhe
sūraj ne chhupte chhupte ujāgar kiyā to thā
lekin tamām raat pighalnā paḌā mujhe
mauzū-e-guftugū thī mirī ḳhāmushī kahīñ
jo zahr pī chukā thā ugalnā paḌā mujhe
kuchh duur tak to jaise koī mere saath thā
phir apne saath aap hī chalnā paḌā mujhe
wo sar-phiri hawa thi sambhalna paDa mujhe
main aaKHiri charagh tha jalna paDa mujhe
mahsus kar raha tha use apne aas pas
apna KHayal KHud hi badalna paDa mujhe
suraj ne chhupte chhupte ujagar kiya to tha
lekin tamam raat pighalna paDa mujhe
mauzu-e-guftugu thi meri KHamushi kahin
jo zahr pi chuka tha ugalna paDa mujhe
kuchh dur tak to jaise koi mere sath tha
phir apne sath aap hi chalna paDa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.