wo sard dhup ret samundar kahan gaya
vo sard dhuup ret samundar kahāñ gayā
yādoñ ke qāfile se december kahāñ gayā
kuTiyā meñ rah rahā thā ka.ī saal se jo shaḳhs
thā ishq naam jis kā qalandar kahāñ gayā
tūfān tham gayā thā zarā der meñ magar
ab sochtī huuñ dil se guzar kar kahāñ gayā
terī galī kī mujh ko nishānī thī yaad par
dīvār to vahīñ hai tirā dar kahāñ gayā
chaa.e ke talḳh ghūñT se uThtā huā ġhubār
vo intizār-e-shām vo manzar kahāñ gayā
us kī siyāh rañg se nisbat ajiib thī
vo ḳhush-libās hijr pahan kar kahāñ gayā
rakkhā nahīñ thā lauh-e-mohabbat pe aaj phuul
kis baat par ḳhafā thā mujāvir kahāñ gayā
wo sard dhup ret samundar kahan gaya
yaadon ke qafile se december kahan gaya
kuTiya mein rah raha tha kai sal se jo shaKHs
tha ishq nam jis ka qalandar kahan gaya
tufan tham gaya tha zara der mein magar
ab sochti hun dil se guzar kar kahan gaya
teri gali ki mujh ko nishani thi yaad par
diwar to wahin hai tera dar kahan gaya
chae ke talKH ghunT se uThta hua ghubar
wo intizar-e-sham wo manzar kahan gaya
us ki siyah rang se nisbat ajib thi
wo KHush-libas hijr pahan kar kahan gaya
rakkha nahin tha lauh-e-mohabbat pe aaj phul
kis baat par KHafa tha mujawir kahan gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.