Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo sard fasla bas aaj kaTne wala tha

Kaifi Wijdani

wo sard fasla bas aaj kaTne wala tha

Kaifi Wijdani

vo sard fāsla bas aaj kaTne vaalā thā

maiñ ik charāġh lau se lipaTne vaalā thā

bahut bikherā mujhe mere mehrbānoñ ne

mirā vajūd lekin simaTne vaalā thā

bachā liyā tirī ḳhushbū ke farq ne varna

maiñ tere vahm meñ tujh se lipaTne vaalā thā

usī ko chūmtā rahtā thā vo ki us ko bhī

'azīz thā vahī baazū jo kaTne vaalā thā

mujhī ko raah badalnī thī so badal Daalī

kahīñ pahāḌ bhī Thokar se haTne vaalā thā

talāsh jis thī vo harf mil gayā varna

maiñ ek saada varaq aur ulaTne vaalā thā

ye kis ko tiir chalāne shauq jaag uThā

vo baaz merī taraf jhapaTne vaalā thā

wo sard fasla bas aaj kaTne wala tha

main ek charagh ki lau se lipaTne wala tha

bahut bikhera mujhe mere mehrbanon ne

mera wajud hi lekin simaTne wala tha

bacha liya teri KHushbu ke farq ne warna

main tere wahm mein tujh se lipaTne wala tha

usi ko chumta rahta tha wo ki us ko bhi

'aziz tha wahi bazu jo kaTne wala tha

mujhi ko rah badalni thi so badal Dali

kahin pahaD bhi Thokar se haTne wala tha

talash jis ki thi wo harf mil gaya warna

main ek sada waraq aur ulaTne wala tha

ye kis ko tir chalane ka shauq jag uTha

wo baz meri taraf hi jhapaTne wala tha

Source :
  • Book : ras-Rang(Mehfil-e-Adab) (Pg. 7)
  • Edition : 2001
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now