wo shaKHs jis ne KHud apna lahu piya hoga
vo shaḳhs jis ne ḳhud apnā lahū piyā hogā
jiyā to hogā magar kas tarah jiyā hogā
tumhāre shahr meñ aane kī jis ko hasrat thī
tumhāre shahr meñ aa kar vo ro paḌā hogā
kisī kī yaad kī aahaT sī hai dar-e-dil par
kisī ne aaj mirā naam le liyā hogā
vo ajnabī tirī bāñhoñ meñ jo rahā shab bhar
kise ḳhabar ki vo din bhar kahāñ rahā hogā
tumhāre sehn-e-chaman meñ khilā huā ġhuncha
kise ḳhabar mirī qismat pe hañs rahā hogā
wo shaKHs jis ne KHud apna lahu piya hoga
jiya to hoga magar kas tarah jiya hoga
tumhaare shahr mein aane ki jis ko hasrat thi
tumhaare shahr mein aa kar wo ro paDa hoga
kisi ki yaad ki aahaT si hai dar-e-dil par
kisi ne aaj mera nam le liya hoga
wo ajnabi teri banhon mein jo raha shab bhar
kise KHabar ki wo din bhar kahan raha hoga
tumhaare sehn-e-chaman mein khila hua ghuncha
kise KHabar meri qismat pe hans raha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.