wo shaKHs kya hai mere waste sunaen use
vo shaḳhs kyā hai mire vāste sunā.eñ use
havā meñ mere havāle se gungunā.eñ use
udaas rātoñ meñ āvāra-gard banjāre
haTā leñ bāñsurī hoñToñ se aur gaa.eñ use
vo merā dil hai koī ret kā gharauñdā nahīñ
ki shoḳh maujeñ miTā.eñ use banā.eñ use
hai dil meñ dard kā lashkar paḌāv Daale hue
mile vo jān-e-ġhazal to kahāñ sajā.eñ use
ġhazal hai naam falak par qayām hai us kā
kabhī falak se zamīñ par utaar laa.eñ use
bichhaḌ gayā to palaT kar kabhī na aa.egā
hazār dasht-o-bayābāñ meñ do sadā.eñ use
vo dil kā dard sahī jaan ban gayā hai 'kamāl'
ham apnī jaan se jaa.eñ to bhuul jaa.eñ use
wo shaKHs kya hai mere waste sunaen use
hawa mein mere hawale se gungunaen use
udas raaton mein aawara-gard banjare
haTa len bansuri honTon se aur gaen use
wo mera dil hai koi ret ka gharaunda nahin
ki shoKH maujen miTaen use banaen use
hai dil mein dard ka lashkar paDaw Dale hue
mile wo jaan-e-ghazal to kahan sajaen use
ghazal hai nam falak par qayam hai us ka
kabhi falak se zamin par utar laen use
bichhaD gaya to palaT kar kabhi na aaega
hazar dasht-o-bayaban mein do sadaen use
wo dil ka dard sahi jaan ban gaya hai 'kamal'
hum apni jaan se jaen to bhul jaen use
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.