wo shakl wo shanaKHt wo paikar ki aarzu
vo shakl vo shanāḳht vo paikar kī aarzū
patthar kī ho ke rah ga.ī patthar kī aarzū
chhat ho falak to ḳhaak uḌāne ko paañv meñ
sahrā meñ khīñchtī hai hameñ ghar kī aarzū
zaḳhmī kiye haiñ paañv kabhī laa.ī raah par
kab kaun jaan paayā hai Thokar kī aarzū
apnī giraft meñ liye uḌtā phire kahīñ
parvāz ko hai kab se usī par kī aarzū
rahtī hai mujh meñ kab se kuñvārī hai aaj tak
ik aarzū ke apne svayambar kī aarzū
'akhilesh' kab bujhī hai havas kī shadīd pyaas
dariyā tamām pī le samundar kī aarzū
wo shakl wo shanaKHt wo paikar ki aarzu
patthar ki ho ke rah gai patthar ki aarzu
chhat ho falak to KHak uDane ko panw mein
sahra mein khinchti hai hamein ghar ki aarzu
zaKHmi kiye hain panw kabhi lai rah par
kab kaun jaan paya hai Thokar ki aarzu
apni giraft mein liye uDta phire kahin
parwaz ko hai kab se usi par ki aarzu
rahti hai mujh mein kab se kunwari hai aaj tak
ek aarzu ke apne swayambar ki aarzu
'akhilesh' kab bujhi hai hawas ki shadid pyas
dariya tamam pi le samundar ki aarzu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.