wo shama ujala jis ne kiya chaalis baras tak ghaaron mein
wo shama ujala jis ne kiya chaalis baras tak ghaaron mein
Zafar Ali Khan
MORE BYZafar Ali Khan
vo sham.a ujālā jis ne kiyā chālīs baras tak ġhāroñ meñ
ik roz chamakne vaalī thī sab duniyā ke darbāroñ meñ
gar arz-o-samā kī mahfil meñ laulāk-lamā kā shor na ho
ye rang na ho gulzāroñ meñ ye nuur na ho sayyāroñ meñ
jo falsafiyoñ se khul na sakā jo nukta-varoñ se hal na huā
vo raaz ik kamlī vaale ne batlā diyā chand ishāroñ meñ
bū bakr o umar usmān o alī kirneñ haiñ ek hī mish.al kī
ham-martaba haiñ yārān-e-nabī kuchh farq nahīñ in chāroñ meñ
vo jins nahīñ īmān jise le aa.eñ dukān-e-falsafa se
DhūñDe se milegī aaqil ko ye qur.āñ ke sipāroñ meñ
wo shama ujala jis ne kiya chaalis baras tak ghaaron mein
ek roz chamakne wali thi sab duniya ke darbaron mein
gar arz-o-sama ki mahfil mein laulak-lama ka shor na ho
ye rang na ho gulzaron mein ye nur na ho sayyaron mein
jo falsafiyon se khul na saka jo nukta-waron se hal na hua
wo raaz ek kamli wale ne batla diya chand ishaaron mein
bu bakr o umar usman o ali kirnen hain ek hi mishal ki
ham-martaba hain yaran-e-nabi kuchh farq nahin in chaaron mein
wo jins nahin iman jise le aaen dukan-e-falsafa se
DhunDe se milegi aaqil ko ye quran ke siparon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.