wo surat jaani pahunchani nahin hai
vo sūrat jaanī pahuñchānī nahīñ hai
magar ḳhushbū to anjānī nahīñ hai
chalo maanā zarā sī baat thī vo
ye ḳhāmoshī to be-ma.anī nahīñ hai
ham aa nikle kahāñ dasht-e-talab meñ
yahāñ to duur tak paanī nahīñ hai
yahāñ har shai har ik rishta hai miTTī
yahāñ kuchh bhī to lā-fānī nahīñ hai
kahāñ ab vo shajar vo ham-safar haiñ
safar meñ koī āsānī nahīñ hai
wo surat jaani pahunchani nahin hai
magar KHushbu to anjaani nahin hai
chalo mana zara si baat thi wo
ye KHamoshi to be-mani nahin hai
hum aa nikle kahan dasht-e-talab mein
yahan to dur tak pani nahin hai
yahan har shai har ek rishta hai miTTi
yahan kuchh bhi to la-fani nahin hai
kahan ab wo shajar wo ham-safar hain
safar mein koi aasani nahin hai
- Book : سکوت دشت (Pg. 73)
- Author : اقبال انجم
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس دہلی۔6 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.