wo talluq zindagi jis mein raha bil-wasta main
vo ta.alluq zindagī jis meñ rahā bil-vāsta maiñ
us samet ik din sipurd-e-tāq-e-nisyāñ ho gayā maiñ
bas yahī mausam thā aisā hī samāñ thā yaad hogā
tāq-e-jāñ meñ sham.a ik raushan huī aur bujh gayā maiñ
ek din aisā ki thī qurbān us par jaañ sī shai bhī
ek din rone lagā ik shaḳhs se bā-qā.edā meñ
dāstān-e-ġham mirī sunñe ko ik sāme.a milā jab
qahqahe pahle lagā.e aur phir chup ho gayā maiñ
shām-e-mimbar par fazīlat ke bahut sanjīda farhāñ
sub.h-dam afsurdagī ke farsh par bikhrā huā maiñ
vāpsī kī raah kyuuñ miltī nahīñ hai saath vaalo
garche is bāzār meñ aayā gayā huuñ bārhā maiñ
wo talluq zindagi jis mein raha bil-wasta main
us samet ek din sipurd-e-taq-e-nisyan ho gaya main
bas yahi mausam tha aisa hi saman tha yaad hoga
taq-e-jaan mein shama ek raushan hui aur bujh gaya main
ek din aisa ki thi qurban us par jaan si shai bhi
ek din rone laga ek shaKHs se ba-qaeda mein
dastan-e-gham meri sunne ko ek samea mila jab
qahqahe pahle lagae aur phir chup ho gaya main
sham-e-mimbar par fazilat ke bahut sanjida farhan
subh-dam afsurdagi ke farsh par bikhra hua main
wapsi ki rah kyun milti nahin hai sath walo
garche is bazar mein aaya gaya hun barha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.