wo teri yaad ke lamhe tere KHayal ke din
vo terī yaad ke lamhe tire ḳhayāl ke din
ilāj-e-dard ke zaḳhmoñ ke indimāl ke din
vo ik rachī basī tahzīb apne purkhoñ kī
vo do yā chaar sahī the magar misāl ke din
mujhe to yaad hai ab tak vo kyā zamāna thā
tire javāb kā mausam mire savāl ke din
har ek pal vo kabhī rūThnā kabhī manñā
nadāmatoñ kī vo ghaḌiyāñ vo infi.āl ke din
maiñ kuchh bhī sun na sakī thī vo ḳhauf thā 'shabnam'
use bhī hosh bhalā kab thā arz-e-hāl ke din
wo teri yaad ke lamhe tere KHayal ke din
ilaj-e-dard ke zaKHmon ke indimal ke din
wo ek rachi basi tahzib apne purkhon ki
wo do ya chaar sahi the magar misal ke din
mujhe to yaad hai ab tak wo kya zamana tha
tere jawab ka mausam mere sawal ke din
har ek pal wo kabhi ruThna kabhi manna
nadamaton ki wo ghaDiyan wo infial ke din
main kuchh bhi sun na saki thi wo KHauf tha 'shabnam'
use bhi hosh bhala kab tha arz-e-haal ke din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.