wo thak kar baiTh jaana chahta tha
vo thak kar baiTh jaanā chāhtā thā
musāfir thā Thikāna chāhtā thā
ki us kī aañkh bhīgī jā rahī thī
magar vo muskurānā chāhtā thā
maiñ us kī dastaras meñ aa gayā jab
vo mujh se duur jaanā chāhtā thā
ki aksar shab ga.e āñkhoñ kā motī
Dhalak kar TuuT jaanā chāhtā thā
na.ī jihatañ huiiñ qaa.em magar vo
vahī qissa purānā chāhtā thā
wo thak kar baiTh jaana chahta tha
musafir tha Thikana chahta tha
ki us ki aankh bhigi ja rahi thi
magar wo muskurana chahta tha
main us ki dastaras mein aa gaya jab
wo mujh se dur jaana chahta tha
ki aksar shab gae aankhon ka moti
Dhalak kar TuT jaana chahta tha
nai jihatan huin qaem magar wo
wahi qissa purana chahta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.