wo thi zulfen thin aur shana tha
vo thī zulfeñ thiiñ aur shāna thā
kitnā uljhā huā fasāna thā
un kā uThnā hameñ uThānā thā
dard-e-sar yūñhī ik bahāna thā
paañv meñ aable na paḌ jaate
do qadam par ġharīb-ḳhāna thā
kaif-e-ahd-e-shabāb kyā kahnā
har qadam par sharāb-ḳhāna thā
kho ga.ī thī nigāh jalvoñ meñ
saarā aalam nigār-ḳhāna thā
tum ne us ko bhī sun liyā hotā
'ashk' kā haal bhī fasāna thā
wo thi zulfen thin aur shana tha
kitna uljha hua fasana tha
un ka uThna hamein uThana tha
dard-e-sar yunhi ek bahana tha
panw mein aable na paD jate
do qadam par gharib-KHana tha
kaif-e-ahd-e-shabab kya kahna
har qadam par sharab-KHana tha
kho gai thi nigah jalwon mein
sara aalam nigar-KHana tha
tum ne us ko bhi sun liya hota
'ashk' ka haal bhi fasana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.