wo tijarat mein kahan koi ziyan chhoDta hai
vo tijārat meñ kahāñ koī ziyāñ chhoḌtā hai
ruuh le letā hai ā'sāb yahāñ chhoḌtā hai
hai ye patthar mirā shīshe se tire bālā-tar
kam se kam zulm ke māthe pe nishāñ chhoḌtā hai
bazm-e-anjum meñ uThā laa.e ho ye kis kā diyā
nuur to kuchh nahīñ detā hai dhuāñ chhoḌtā hai
ham se ḳhud-sar sū-e-maidān-e-viġhā jaate hue
ye nahīñ sochte haiñ kaun kahāñ chhoḌtā hai
'ishq vo mo'jiza-e-kun hai nishāñ jo apne
jahāñ hotī nahīñ ummīd vahāñ chhoḌtā hai
qasr-e-fir'aun idhar aur udhar vādī-e-misr
dekhnā ye hai kidhar āb-e-ravāñ chhoḌtā hai
ai ḳhirad-bāḳhta shaddād iram par tirī tuf
itne saste meñ koī bāġh-e-jināñ chhoḌtā hai
vahshateñ khīñch liye jaatī haiñ sahrā meñ 'safar'
apnī marzī se bhalā kaun makāñ chhoḌtā hai
wo tijarat mein kahan koi ziyan chhoDta hai
ruh le leta hai aa'sab yahan chhoDta hai
hai ye patthar mera shishe se tere baala-tar
kam se kam zulm ke mathe pe nishan chhoDta hai
bazm-e-anjum mein uTha lae ho ye kis ka diya
nur to kuchh nahin deta hai dhuan chhoDta hai
hum se KHud-sar su-e-maidan-e-wigha jate hue
ye nahin sochte hain kaun kahan chhoDta hai
'ishq wo mo'jiza-e-kun hai nishan jo apne
jahan hoti nahin ummid wahan chhoDta hai
qasr-e-fir'aun idhar aur udhar wadi-e-misr
dekhna ye hai kidhar aab-e-rawan chhoDta hai
ai KHirad-baKHta shaddad iram par teri tuf
itne saste mein koi bagh-e-jinan chhoDta hai
wahshaten khinch liye jati hain sahra mein 'safar'
apni marzi se bhala kaun makan chhoDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.