wo to main aag jalane se miyan waqif tha
vo to maiñ aag jalāne se miyāñ vāqif thā
varna tū apne qabīle se kahāñ vāqif thā
ant meñ kyā huā raavī ne batāyā hī nahīñ
yuuñ kahānī se to kahne ko jahāñ vāqif thā
aag meñ koī badan thā ki jo āzād huā
ya.anī a.azā ke tanāsub se dhuāñ vāqif thā
raat kuttoñ ne saḌak sar pe uThā rakkhī thī
aur aaseb kī aamad se makāñ vāqif thā
sandrila ne qabā phaaḌ ke rassī baT lī
aur is baat se bas dev kā gumāñ vāqif thā
wo to main aag jalane se miyan waqif tha
warna tu apne qabile se kahan waqif tha
ant mein kya hua rawi ne bataya hi nahin
yun kahani se to kahne ko jahan waqif tha
aag mein koi badan tha ki jo aazad hua
yani aaza ke tanasub se dhuan waqif tha
raat kutton ne saDak sar pe uTha rakkhi thi
aur aaseb ki aamad se makan waqif tha
sandrila ne qaba phaD ke rassi baT li
aur is baat se bas dew ka guman waqif tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.