wo to shukr karo tum miTha lahja hai shahzadi ka
vo to shukr karo tum mīThā lahja hai shahzādī kā
jis ko pyaar samajhte ho vo ġhussa hai shahzādī kā
maiñ ne saarī duniyā meñ bas ek hasīna dekhī hai
baaqī koī husn nahīñ hai charba hai shahzādī kā
dekhne vaale soch rahe haiñ mere muñh meñ cigarette hai
maiñ kahne meñ sharmātā huuñ bosa hai shahzādī kā
jab maiñ us kā huuñ to pūchhte kyuuñ ho ye dil kis kā hai
naukar bhī us ke hoñge jab bañgla hai shahzādī kā
wo to shukr karo tum miTha lahja hai shahzadi ka
jis ko pyar samajhte ho wo ghussa hai shahzadi ka
main ne sari duniya mein bas ek hasina dekhi hai
baqi koi husn nahin hai charba hai shahzadi ka
dekhne wale soch rahe hain mere munh mein cigarette hai
main kahne mein sharmata hun bosa hai shahzadi ka
jab main us ka hun to puchhte kyun ho ye dil kis ka hai
naukar bhi us ke honge jab bangla hai shahzadi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.