Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo tum tak kaise aata

Adil Mansuri

wo tum tak kaise aata

Adil Mansuri

MORE BYAdil Mansuri

    vo tum tak kaise aatā

    jism se bhārī saaya thā

    saare kamre ḳhālī the

    saḌkoñ par bhī koī na thā

    pīchhe pīchhe kyuuñ aa.e

    aage bhī to rasta thā

    khiḌkī meñ ThiThur ga.ī

    kaalī aur chaukor havā

    dīvāroñ par ā.īne

    ā.īnoñ meñ sabz ḳhalā

    baiThī thī vo kursī par

    dāñtoñ meñ uñglī ko dabā

    boTī boTī jaltī thī

    us badan añgārā thā

    te ke uupar do nuqte

    be ke nīche ik nuqta

    chaa.e meñ us ke pistāñ the

    merā badan paanī meñ thā

    tanhā.ī rānoñ meñ

    sub.h talak maiñ qaid rahā

    'ādil' ab shādī kar lo

    sattā.īsvāñ ḳhatm huā

    wo tum tak kaise aata

    jism se bhaari saya tha

    sare kamre KHali the

    saDkon par bhi koi na tha

    pichhe pichhe kyun aae

    aage bhi to rasta tha

    khiDki hi mein ThiThur gai

    kali aur chaukor hawa

    diwaron par aaine

    aainon mein sabz KHala

    baiThi thi wo kursi par

    danton mein ungli ko daba

    boTi boTi jalti thi

    us ka badan angara tha

    te ke upar do nuqte

    be ke niche ek nuqta

    chae mein us ke pistan the

    mera badan pani mein tha

    tanhai ki ranon mein

    subh talak main qaid raha

    'adil' ab shadi kar lo

    sattaiswan KHatm hua

    Source :
    • Book : Hashr ki subh darakhshaz ho (Pg. 225)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now