vo un zulfoñ kā aalam abtarī kā
sabab thā merī shorīda-sarī kā
parī kī sī ho jis zālim kī raftār
vo kyā jaane jatan ādam-girī kā
ajab apnā bhī hai māshūq be-aib
hunar hai jis meñ āshiq-parvarī kā
tirī jādū-nigāhī jis ne dekhī
vo kab qaa.il hai sehr-e-sāmrī kā
ravāñ haiñ laḳht-e-dil yuuñ chashm-e-nam se
musāfir juuñ chale rasta tarī kā
sharaf as.hāb-e-kahf uupar rakhe hai
jo sag hai āstān-e-haidarī kā
badī mat kar kisī kī 'muntazir' tū
agar ḳhvāhāñ hai apnī behtarī kā
wo un zulfon ka aalam abtari ka
sabab tha meri shorida-sari ka
pari ki si ho jis zalim ki raftar
wo kya jaane jatan aadam-giri ka
ajab apna bhi hai mashuq be-aib
hunar hai jis mein aashiq-parwari ka
teri jadu-nigahi jis ne dekhi
wo kab qail hai sehr-e-samri ka
rawan hain laKHt-e-dil yun chashm-e-nam se
musafir jun chale rasta tari ka
sharaf ashab-e-kahf upar rakhe hai
jo sag hai aastan-e-haidari ka
badi mat kar kisi ki 'muntazir' tu
agar KHwahan hai apni behtari ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.