wo wada ustuwar kabhi hai kabhi nahin
vo va.ada ustuvār kabhī hai kabhī nahīñ
ham ko bhī e'tibār kabhī hai kabhī nahīñ
ye dahr sāzgār kabhī hai kabhī nahīñ
ummīd-e-ham-kanār kabhī hai kabhī nahīñ
ham rahrav-e-qadīm haiñ aur jānte haiñ ḳhuub
hamvār rahguzār kabhī hai kabhī nahīñ
us ko ayaañ kaheñ ki nihāñ yā kuchh aur hī
jo raaz āshkār kabhī hai kabhī nahīñ
ho dost se tavaqqo-e-lutf-e-davām kyā
jab dil pe iḳhtiyār kabhī hai kabhī nahīñ
zālim tamām umr rahā dil ke ās-pās
ik ġham jo ḳhush-gavār kabhī hai kabhī nahīñ
'mahrūm' tab-e-shā.ir-e-fitrat-nigar ravāñ
mānind-e-jūebār kabhī hai kabhī nahīñ
wo wada ustuwar kabhi hai kabhi nahin
hum ko bhi e'tibar kabhi hai kabhi nahin
ye dahr sazgar kabhi hai kabhi nahin
ummid-e-ham-kanar kabhi hai kabhi nahin
hum rahraw-e-qadim hain aur jaante hain KHub
hamwar rahguzar kabhi hai kabhi nahin
us ko ayan kahen ki nihan ya kuchh aur hi
jo raaz aashkar kabhi hai kabhi nahin
ho dost se tawaqqo-e-lutf-e-dawam kya
jab dil pe iKHtiyar kabhi hai kabhi nahin
zalim tamam umr raha dil ke aas-pas
ek gham jo KHush-gawar kabhi hai kabhi nahin
'mahrum' tab-e-shair-e-fitrat-nigar rawan
manind-e-juebar kabhi hai kabhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.