wo wahima hai kahan ye usul jaana tha
vo vāhima hai kahāñ ye usuul jaanā thā
mile the us se to phir us ko bhuul jaanā thā
gañvā dī umr kisī rabt-e-rā.egāñ ke liye
hameñ to TūTte rishtoñ ko bhuul jaanā thā
na kaam aa.ī tab-o-tāb-e-fikr-o-fan merī
vo aa.ina huuñ jise sab ne dhuul jaanā thā
vo ḳhushbuoñ ke musāfir the saath chalte kyā
mujhe to sūrat-e-gard-e-malūl jaanā thā
vo sāda-lauh hamāre sivā koī na thā 'aah'
ki jis ne gul-shuda dāġhoñ ko bhuul jaanā thā
wo wahima hai kahan ye usul jaana tha
mile the us se to phir us ko bhul jaana tha
ganwa di umr kisi rabt-e-raegan ke liye
hamein to TuTte rishton ko bhul jaana tha
na kaam aai tab-o-tab-e-fikr-o-fan meri
wo aaina hun jise sab ne dhul jaana tha
wo KHushbuon ke musafir the sath chalte kya
mujhe to surat-e-gard-e-malul jaana tha
wo sada-lauh hamare siwa koi na tha 'ah'
ki jis ne gul-shuda daghon ko bhul jaana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.