wo yaad kar bhi raha ho to faeda kya hai
vo yaad kar bhī rahā ho to fā.eda kyā hai
ye dil ujaaḌ paḌā hai ise milā kyā hai
bahut dinoñ se ye dil yūñhī ro rahā hai aur
batā rahā hī nahīñ hai ise huā kyā hai
zarā sī der utarne de apnī āñkhoñ meñ
zarā ye dekhne to de ye rāsta kyā hai
ik aur bhuuk thī jis ne mujhe faqīr kiyā
vagarna paas tire husn ke sivā kyā hai
maiñ apne-āp se kam bhī huuñ aur ziyāda bhī
vo jāntā bhī hai mujh ko to jāntā kyā hai
ye dard-e-ḳhvāb hai is ko bhī chakh ke dekh hī luuñ
pata kahīñ to chale ḳhvāb meñ mazā kyā hai
wo yaad kar bhi raha ho to faeda kya hai
ye dil ujaD paDa hai ise mila kya hai
bahut dinon se ye dil yunhi ro raha hai aur
bata raha hi nahin hai ise hua kya hai
zara si der utarne de apni aankhon mein
zara ye dekhne to de ye rasta kya hai
ek aur bhuk thi jis ne mujhe faqir kiya
wagarna pas tere husn ke siwa kya hai
main apne-ap se kam bhi hun aur ziyaada bhi
wo jaanta bhi hai mujh ko to jaanta kya hai
ye dard-e-KHwab hai is ko bhi chakh ke dekh hi lun
pata kahin to chale KHwab mein maza kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.