wo yaqin paikar hai kis ka nur-e-dida kaun hai
wo yaqin paikar hai kis ka nur-e-dida kaun hai
Ghaus Mohammad Ghausi
MORE BYGhaus Mohammad Ghausi
vo yaqīñ paikar hai kis kā nūr-e-dīda kaun hai
zulmat-e-shab meñ charāġh-e-āsā damīda kaun hai
gard-e-jāda kaun hai manzil rasīda kaun hai
vaqt kyā kahtā hai suniye barguzīda kaun hai
zahr-e-ġham pī juz-o-jāñ kar phir bhī maut aa.e to kyā
yuuñ bhī amrit kā yahāñ lazzat-chashīda kaun hai
farsh se tā-arsh yaksāñ hai sadā-e-marhabā
dekhnā ye sar-ba-kaf ye sar-burīda kaun hai
baat karte haiñ to muñh se duudh kī aatī hai bū
un meñ apnī mahfiloñ kā rañg-dīda kaun hai
ḳhaak se pā kar mafar kis ko na ḳhush aayā safar
dil girafta kaun hai ḳhātir-kabīda kaun hai
apne saa.e par hī jab markūz the zehn-o-nazar
koī kyoñ kar dekhtā qāmat-kashīda kaun hai
jab dur-e-kirdār par aañch aa ga.ī kyā rah gayā
ab ye sarf-e-mātam-e-rañg-e-parīda kaun hai
kis qadar shā.istagī se kah gayā vo apnā ġham
dostoñ kī ḳhair ho dushman-gazīda kaun hai
ġham na kar 'ġhausī' agar murda nahīñ terā zamīr
tujh se baḌh kar ḳhud tirā dīda-shunīda kaun hai
wo yaqin paikar hai kis ka nur-e-dida kaun hai
zulmat-e-shab mein charagh-e-asa damida kaun hai
gard-e-jada kaun hai manzil rasida kaun hai
waqt kya kahta hai suniye barguzida kaun hai
zahr-e-gham pi juz-o-jaan kar phir bhi maut aae to kya
yun bhi amrit ka yahan lazzat-chashida kaun hai
farsh se ta-arsh yaksan hai sada-e-marhaba
dekhna ye sar-ba-kaf ye sar-burida kaun hai
baat karte hain to munh se dudh ki aati hai bu
un mein apni mahfilon ka rang-dida kaun hai
KHak se pa kar mafar kis ko na KHush aaya safar
dil girafta kaun hai KHatir-kabida kaun hai
apne sae par hi jab markuz the zehn-o-nazar
koi kyon kar dekhta qamat-kashida kaun hai
jab dur-e-kirdar par aanch aa gai kya rah gaya
ab ye sarf-e-matam-e-rang-e-parida kaun hai
kis qadar shaistagi se kah gaya wo apna gham
doston ki KHair ho dushman-gazida kaun hai
gham na kar 'ghausi' agar murda nahin tera zamir
tujh se baDh kar KHud tera dida-shunida kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.