wo yun buDhe se bachcha ho gaya hai
vo yuuñ būḌhe se bachcha ho gayā hai
kī jaise peḌ paudhā ho gayā hai
taraf-dārī bahut kartā hai terī
qalam terā dīvāna ho gayā hai
nazar-andāz aise kar gayā vo
kī shīsha jaise andhā ho gayā hai
chalo baabā koī poshāk le lo
liye kapḌe zamāna ho gayā hai
nahīñ haiñ pyaas ke ma.anī koī ab
nadī kā paanī mailā ho gayā hai
wo yun buDhe se bachcha ho gaya hai
ki jaise peD paudha ho gaya hai
taraf-dari bahut karta hai teri
qalam tera diwana ho gaya hai
nazar-andaz aise kar gaya wo
ki shisha jaise andha ho gaya hai
chalo baba koi poshak le lo
liye kapDe zamana ho gaya hai
nahin hain pyas ke mani koi ab
nadi ka pani maila ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.