vo zabāñ apnī kholtā hī nahīñ
ye nahīñ hai ki boltā hī nahīñ
har adā us kī kuchh to hai kahtī
tū magar aañkh kholtā hī nahīñ
jitnā tum doge utnā pāoge
kam ziyāda vo toltā hī nahīñ
vo chaman kī bahār kyā jaane
jo darīchoñ ko kholtā hī nahīñ
band āñkheñ tarāzū haath meñ hai
vo magar kuchh bhī toltā hī nahīñ
jab yudhishThir bhī sach pe Tik na sake
aa.ina sach se Doltā hī nahīñ
kyoñ na ho kaḌvī terī baat 'nayā'
jhuuT tū is meñ gholtā hī nahīñ
wo zaban apni kholta hi nahin
ye nahin hai ki bolta hi nahin
har ada us ki kuchh to hai kahti
tu magar aankh kholta hi nahin
jitna tum doge utna paoge
kam ziyaada wo tolta hi nahin
wo chaman ki bahaar kya jaane
jo darichon ko kholta hi nahin
band aankhen taraazu hath mein hai
wo magar kuchh bhi tolta hi nahin
jab yudhishThir bhi sach pe Tik na sake
aaina sach se Dolta hi nahin
kyon na ho kaDwi teri baat 'naya'
jhuT tu is mein gholta hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.