wo zamana-saz bhi tha aur wafa-pesha bhi tha
vo zamāna-sāz bhī thā aur vafā-pesha bhī thā
maiñ ne chāhā hī nahīñ us shaḳhs ko samjhā bhī thā
thī tamāzat ishq kī itnī ki vo vāpas gayā
saath chalne ke liye kuchh duur tak aayā bhī thā
ye haqīqat hī sahī lekin use mānegā kaun
log pyāse bhī rahe aur aañkh meñ dariyā bhī thā
is qadar chāhā use jitnā nahīñ chāhe koī
ye mohabbat hī nahīñ us se mirā badlā bhī thā
ḳhud yaqīñ dil ko na thā is se judā hone talak
vo judā ho jā.egā is baat ko sochā bhī thā
hijr kī shab meñ jo merī aañkh se Dhalkā nahīñ
vo sitāra thā jo sub.h-e-vasl meñ chamkā bhī thā
dasht-e-vīrāñ meñ kahīñ kuchh phuul bhī haiñ yaad ke
sirf chhāyā hī nahīñ bādal kabhī barsā bhī thā
is shanāsā.ī kā da.avā nā-shanāsī hī to hai
mujh ko dekhā bhī thā jis ne aur jo chauñkā bhī thā
ab maiñ lab-basta huuñ 'ādil' to faqat is vāste
sirf samjhā hī nahīñ us shaḳhs ko chāhā bhī thā
wo zamana-saz bhi tha aur wafa-pesha bhi tha
main ne chaha hi nahin us shaKHs ko samjha bhi tha
thi tamazat ishq ki itni ki wo wapas gaya
sath chalne ke liye kuchh dur tak aaya bhi tha
ye haqiqat hi sahi lekin use manega kaun
log pyase bhi rahe aur aankh mein dariya bhi tha
is qadar chaha use jitna nahin chahe koi
ye mohabbat hi nahin us se mera badla bhi tha
KHud yaqin dil ko na tha is se juda hone talak
wo juda ho jaega is baat ko socha bhi tha
hijr ki shab mein jo meri aankh se Dhalka nahin
wo sitara tha jo subh-e-wasl mein chamka bhi tha
dasht-e-viran mein kahin kuchh phul bhi hain yaad ke
sirf chhaya hi nahin baadal kabhi barsa bhi tha
is shanasai ka dawa na-shanasi hi to hai
mujh ko dekha bhi tha jis ne aur jo chaunka bhi tha
ab main lab-basta hun 'adil' to faqat is waste
sirf samjha hi nahin us shaKHs ko chaha bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.