wo zindagi jo shab-e-intizar guzri thi
vo zindagī jo shab-e-intizār guzrī thī
tire karam se bahut ḳhush-gavār guzrī thī
ġhazab ki aaj vahī dil hai ġham-kash-e-duniyā
nigāh-e-nāz bhī kal jis pe baar guzrī thī
sukūñ-nasīb vahī ab haiñ jin kī umr kabhī
harīf-e-gardish-e-lail-o-nahār guzrī thī
fareb-e-nūr-e-sahar de ga.ī nigāhoñ ko
jo barq raat sar-e-shāḳh-sār guzrī thī
zamāna aaj qayāmat samajh rahā hai jise
vahī to sar se mire baar baar guzrī thī
ḳhabar hai kis ko nasheman ke chaar tinkoñ kī
ye jāntā huuñ sabā be-qarār guzrī thī
na jaane kyoñ hai mohabbat ko phir usī kī talāsh
vo barhamī jo kabhī nāgavār guzrī thī
'nazīr' lāla-o-gul par nikhār hai ab tak
hai kab kī baat chaman se bahār guzrī thī
wo zindagi jo shab-e-intizar guzri thi
tere karam se bahut KHush-gawar guzri thi
ghazab ki aaj wahi dil hai gham-kash-e-duniya
nigah-e-naz bhi kal jis pe bar guzri thi
sukun-nasib wahi ab hain jin ki umr kabhi
harif-e-gardish-e-lail-o-nahaar guzri thi
fareb-e-nur-e-sahar de gai nigahon ko
jo barq raat sar-e-shaKH-sar guzri thi
zamana aaj qayamat samajh raha hai jise
wahi to sar se mere bar bar guzri thi
KHabar hai kis ko nasheman ke chaar tinkon ki
ye jaanta hun saba be-qarar guzri thi
na jaane kyon hai mohabbat ko phir usi ki talash
wo barhami jo kabhi nagawar guzri thi
'nazir' lala-o-gul par nikhaar hai ab tak
hai kab ki baat chaman se bahaar guzri thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.