wo zindagi se kya gaya dhuan uDa ke rakh diya
vo zindagī se kyā gayā dhuāñ uḌā ke rakh diyā
makāñ ke ik sutūn ne makāñ girā ke rakh diyā
vo raah se chalā gayā to raah moḌ ban ga.ī
mire safar ne rāsta kahāñ chhupā ke rakh diyā
kisī diye kī tarz se guzar rahī hai zindagī
yahāñ jalā ke rakh diyā vahāñ bujhā ke rakh diyā
vajūd kī bisāt par baḌī ajiib maat thī
yaqīñ luTā ke uTh ga.e gumāñ bachā ke rakh diyā
wo zindagi se kya gaya dhuan uDa ke rakh diya
makan ke ek sutun ne makan gira ke rakh diya
wo rah se chala gaya to rah moD ban gai
mere safar ne rasta kahan chhupa ke rakh diya
kisi diye ki tarz se guzar rahi hai zindagi
yahan jala ke rakh diya wahan bujha ke rakh diya
wajud ki bisat par baDi ajib mat thi
yaqin luTa ke uTh gae guman bacha ke rakh diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.