wufur-e-husn ki lazzat se TuT jate hain
vufūr-e-husn kī lazzat se TuuT jaate haiñ
kuchh aa.ine haiñ jo hairat se TuuT jaate haiñ
kisī jatan kī zarūrat nahīñ paḌegī tumheñ
ham aise log mohabbat se TuuT jaate haiñ
zamāna un ko bahut jald maar detā hai
jo log apnī rivāyat se TuuT jaate haiñ
ka.ī zamāne kī saḳhtī bhī jhel lete haiñ
ka.ī vajūd hifāzat se TuuT jaate haiñ
ham aise logoñ ko ishva-garī nahīñ aatī
ham ik zarā sī sharārat se TuuT jaate haiñ
'kabīr' jab sabhī dīvāreñ ḳhasta ho jaa.eñ
to phir makān marammat se TuuT jaate haiñ
wufur-e-husn ki lazzat se TuT jate hain
kuchh aaine hain jo hairat se TuT jate hain
kisi jatan ki zarurat nahin paDegi tumhein
hum aise log mohabbat se TuT jate hain
zamana un ko bahut jald mar deta hai
jo log apni riwayat se TuT jate hain
kai zamane ki saKHti bhi jhel lete hain
kai wajud hifazat se TuT jate hain
hum aise logon ko ishwa-gari nahin aati
hum ek zara si shararat se TuT jate hain
'kabir' jab sabhi diwaren KHasta ho jaen
to phir makan marammat se TuT jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.