wusat-e-sai-e-karam dekh ki sar-ta-sar-e-KHak
vus.at-e-sa.i-e-karam dekh ki sar-tā-sar-e-ḳhāk
guzre hai ābla-pā abr-e-guhar-bār hunūz
yak-qalam kāġhaz-e-ātish-zada hai safha-e-dasht
naqsh-e-pā meñ hai tab-e-garmī-e-raftār hunūz
dāġh-e-atfāl hai dīvāna ba-kohsār hunūz
ḳhalvat-e-sañg meñ hai naala talab-gār hunūz
ḳhāna hai sail se ḳhū-karda-e-dīdār hunūz
dūrbīñ dar-zada hai raḳhna-e-dīvār hunūz
aa.ī yak-umr se ma.azūr-e-tamāsha nargis
chashm-e-shabnam meñ na TuuTā mizha-e-ḳhār hunūz
kyuuñ huā thā taraf-e-ābla-e-pā yā-rab
jaada hai vā-shudan-e-pechish-e-tūmār hunūz
hoñ ḳhamoshī-e-chaman hasrat-e-dīdār 'asad'
mizha hai shāna-kash-e-turra-e-guftār hunūz
wusat-e-sai-e-karam dekh ki sar-ta-sar-e-KHak
guzre hai aabla-pa abr-e-guhar-bar hunuz
yak-qalam kaghaz-e-atish-zada hai safha-e-dasht
naqsh-e-pa mein hai tab-e-garmi-e-raftar hunuz
dagh-e-atfal hai diwana ba-kohsar hunuz
KHalwat-e-sang mein hai nala talab-gar hunuz
KHana hai sail se KHu-karda-e-didar hunuz
durbin dar-zada hai raKHna-e-diwar hunuz
aai yak-umr se mazur-e-tamasha nargis
chashm-e-shabnam mein na TuTa mizha-e-KHar hunuz
kyun hua tha taraf-e-abla-e-pa ya-rab
jada hai wa-shudan-e-pechish-e-tumar hunuz
hon KHamoshi-e-chaman hasrat-e-didar 'asad'
mizha hai shana-kash-e-turra-e-guftar hunuz
- Book : Deewan-e-Ghalib Jadeed (Al-Maroof Ba Nuskha-e-Hameedia) (Pg. 228)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.