Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh apni jo hurmat tujhe manzur ho ai shaiKH

Mushafi Ghulam Hamdani

kuchh apni jo hurmat tujhe manzur ho ai shaiKH

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    kuchh apnī jo hurmat tujhe manzūr ho ai shaiḳh

    bahs na mai-ḳhvāroñ se chal duur ho ai shaiḳh

    masjid meñ zarā vaqt-e-sahar dekh to kar

    shāyad koī us chashm maḳhmūr ho ai shaiḳh

    sad dāna-e-tasbīh rakhe haath meñ apne

    chauñke to jo yak-dāna-e-añgūr ho ai shaiḳh

    mujh ko kahe ek maiñ sau tujh ko sunā.ūñ

    ai kaash ki itnā mujhe maqdūr ho ai shaiḳh

    aayā hai vo badmast liye haath meñ shamshīr

    majlis se shitābī kahīñ kāfūr ho ai shaiḳh

    kartā hai hameñ man.a paimāna-kashī se

    paimāna tirī umr ma.amūr ho ai shaiḳh

    albatta kare man.a hameñ ishq-e-butāñ se

    tujh jo koī aql se ma.azūr ho ai shaiḳh

    phir dum hai vo shimla jo huā had se ziyāda

    rakh shimla shimle jo dastūr ho ai shaiḳh

    har harf meñ saḳhtī hai tire sañg-e-jafā se

    Dartā huuñ na phir shīsha-e-dil chuur ho ai shaiḳh

    kyā huur bātoñ se lubhāve hai mujh ko

    hāshā ki mujhe ārzū-e-hūr ho ai shaiḳh

    sheḳhī meñ to suntā nahīñ baat kisī

    is dāḌhī par itnā bhī na maġhrūr ho ai shaiḳh

    kyuuñ 'mus.hafī' ko itnī kartā hai nasīhat

    sar chaḌh na bahut us ke jo majbūr ho ai shaiḳh

    kuchh apni jo hurmat tujhe manzur ho ai shaiKH

    tu bahs na mai-KHwaron se chal dur ho ai shaiKH

    masjid mein zara waqt-e-sahar dekh to ja kar

    shayad koi us chashm ka maKHmur ho ai shaiKH

    sad dana-e-tasbih rakhe hath mein apne

    chaunke to jo yak-dana-e-angur ho ai shaiKH

    tu mujh ko kahe ek main sau tujh ko sunaun

    ai kash ki itna mujhe maqdur ho ai shaiKH

    aaya hai wo badmast liye hath mein shamshir

    majlis se shitabi kahin kafur ho ai shaiKH

    karta hai hamein mana tu paimana-kashi se

    paimana teri umr ka mamur ho ai shaiKH

    albatta kare mana hamein ishq-e-butan se

    tujh sa jo koi aql se mazur ho ai shaiKH

    phir dum hai wo shimla jo hua had se ziyaada

    rakh shimla tu shimle ka jo dastur ho ai shaiKH

    har harf mein saKHti hai tere sang-e-jafa se

    Darta hun na phir shisha-e-dil chur ho ai shaiKH

    kya hur ki baaton se lubhawe hai tu mujh ko

    hasha ki mujhe aarzu-e-hur ho ai shaiKH

    sheKHi mein to sunta hi nahin baat kisi ki

    is daDhi par itna bhi na maghrur ho ai shaiKH

    kyun 'mushafi' ko itni tu karta hai nasihat

    sar chaDh na bahut us ke jo majbur ho ai shaiKH

    Source :
    • Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-doom) (Pg. 148)

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now