Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Duboegi buto ye jism dariya-bar pani mein

Hatim Ali Mehr

Duboegi buto ye jism dariya-bar pani mein

Hatim Ali Mehr

Interesting Fact

Maqta ( last couplet) was not composed by the Late poet

Dubo.egī buto ye jism dariyā-bār paanī meñ

banegī mauj bhī mere liye zunnār paanī meñ

ġhubār-e-dīda-tar se takaddur dil zāhir hai

tamāsha hai uThī miTTī ik dīvār paanī meñ

tan-e-be-jāñ meñ jaañ aa.ī hai abrū ke ishāre se

bujhī thī chashma-e-haivāñ ye talvār paanī meñ

yahī ronā hai furqat meñ to jaañ āñkhoñ se niklegī

hai murġh-e-ābī uḌne ke liye tayyār paanī meñ

hameñ kyā ġhair ke khetoñ pe jo abr-e-karam barsā

na aa.ī apnī jānib to kabhī bauchhār paanī meñ

taḌaptā huuñ maiñ ro ro ke ḳhayāl-e-mus.haf-ruḳh meñ

ki ġhusl-e-irtimāsī karte haiñ dīñ-dār paanī meñ

mire rone pe vo hañste haiñ to aġhyār jalte haiñ

tilism-e-tāza hai bad-gil hue finnār paanī meñ

hue ġharq-e-araq jo sharm-e-isyāñ se vo paak uTThe

huā karte haiñ paidā gauhar-e-shahvār paanī meñ

na hogī ābrū-e-ārzī to jauhar-e-zātī

piyeñ sone paanī bhī agar zardār paanī meñ

jo ā.īna rakh kar sāmne zevar pahantā hai

tirī baalī machhlī tairtī hai yaar paanī meñ

sharāb-e-nāb hai ik qism paanī hai ai zāhid

abas kyuuñ hai tujhe ai samajh inkār paanī meñ

latīfuttab.a juz rāhat nahīñ dete kabhī iizā

nahīñ mumkin ki paidā ho chhurī dhaar paanī meñ

banā dete haiñ dam meñ saikḌoñ gumbad habāboñ ke

ḳhudā shaan rahte haiñ ajab me.amār paanī meñ

Duboegi buto ye jism dariya-bar pani mein

banegi mauj bhi mere liye zunnar pani mein

ghubar-e-dida-tar se takaddur dil ka zahir hai

tamasha hai uThi miTTi ki ek diwar pani mein

tan-e-be-jaan mein jaan aai hai abru ke ishaare se

bujhi thi chashma-e-haiwan ki ye talwar pani mein

yahi rona hai furqat mein to jaan aankhon se niklegi

hai murgh-e-abi uDne ke liye tayyar pani mein

hamein kya ghair ke kheton pe jo abr-e-karam barsa

na aai apni jaanib to kabhi bauchhaar pani mein

taDapta hun main ro ro ke KHayal-e-mushaf-ruKH mein

ki ghusl-e-irtimasi karte hain din-dar pani mein

mere rone pe wo hanste hain to aghyar jalte hain

tilism-e-taza hai bad-gil hue finnar pani mein

hue gharq-e-araq jo sharm-e-isyan se wo pak uTThe

hua karte hain paida gauhar-e-shahwar pani mein

na hogi aabru-e-arzi to jauhar-e-zati

piyen sone ka pani bhi agar zardar pani mein

jo tu aaina rakh kar samne zewar pahanta hai

teri baali ki machhli tairti hai yar pani mein

sharab-e-nab hai ek qism ka pani hai ai zahid

abas kyun hai tujhe ai na samajh inkar pani mein

latifuttaba juz rahat nahin dete kabhi iza

nahin mumkin ki paida ho chhuri ki dhaar pani mein

bana dete hain dam mein saikDon gumbad hababon ke

KHuda ki shan rahte hain ajab meamar pani mein

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now