ya hawa hi uDa ke le jae
yā havā hī uḌā ke le jaa.e
yā maiñ jis kī huuñ aa ke le jaa.e
maiñ huuñ miTTī to kis zamīñ kī huuñ
koī itnā batā ke le jaa.e
hai agar ḳhauf us ko duniyā kā
mujh ko mujh se churā ke le jaa.e
bāzuoñ meñ sameT le mujh ko
kaash dariyā bahā ke le jaa.e
raushnī kī jise zarūrat hai
mere aañsū uThā ke le jaa.e
ḳhvāb mere sirhāne baiThe haiñ
niiñd se kah do aa ke le jaa.e
ya hawa hi uDa ke le jae
ya main jis ki hun aa ke le jae
main hun miTTi to kis zamin ki hun
koi itna bata ke le jae
hai agar KHauf us ko duniya ka
mujh ko mujh se chura ke le jae
bazuon mein sameT le mujh ko
kash dariya baha ke le jae
raushni ki jise zarurat hai
mere aansu uTha ke le jae
KHwab mere sirhane baiThe hain
nind se kah do aa ke le jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.