ya ilahi mera dildar salamat bashad
yā ilāhī mirā dildār salāmat bāshad
vo valī nemat-e-dīdār salāmat bāshad
nek-o-bad se hai mirī ḳhātir-e-nāshād āzād
ġham-gusār apnā ġham-e-yār salāmat bāshad
na rakhī dil meñ hamāre tama-e-ḳhām-e-visāl
rashk-e-aġhyār kā āzār salāmat bāshad
gar na de sharbat-e-unnāb mujhe vo lab-e-lāl
ishva-e-nargis-e-bīmār salāmat bāshad
ḳhāksāroñ kā koī go na hue pusht-panāh
sar pe vo sāya-e-dīvār salāmat bāshad
us sag-e-kū kī nahīñ kuchh mujhe muddat se ḳhabar
vo mirā yār-e-vafādār salāmat bāshad
qatl-e-āshiq ke ta.iiñ go hove yak shahr gavāh
vo tirā naaz se inkār salāmat bāshad
mard-e-haq kā rahe duniyā meñ alam-e-nām buland
nahīñ mansūr agar daar salāmat bāshad
yaar kī mehr-o-muravvat pe na rakh dil 'hasrat'
ye tirā ishq kā iz.hār salāmat bāshad
ya ilahi mera dildar salamat bashad
wo wali nemat-e-didar salamat bashad
nek-o-bad se hai meri KHatir-e-nashad aazad
gham-gusar apna gham-e-yar salamat bashad
na rakhi dil mein hamare tama-e-KHam-e-visal
rashk-e-aghyar ka aazar salamat bashad
gar na de sharbat-e-unnab mujhe wo lab-e-lal
ishwa-e-nargis-e-bimar salamat bashad
KHaksaron ka koi go na hue pusht-panah
sar pe wo saya-e-diwar salamat bashad
us sag-e-ku ki nahin kuchh mujhe muddat se KHabar
wo mera yar-e-wafadar salamat bashad
qatl-e-ashiq ke tain go howe yak shahr gawah
wo tera naz se inkar salamat bashad
mard-e-haq ka rahe duniya mein alam-e-nam buland
nahin mansur agar dar salamat bashad
yar ki mehr-o-murawwat pe na rakh dil 'hasrat'
ye tera ishq ka izhaar salamat bashad
- Deewan-e-Hasrat Azeemabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.