Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ya-KHuda aisi KHush-nawai de

Shweta Srivastava

ya-KHuda aisi KHush-nawai de

Shweta Srivastava

MORE BYShweta Srivastava

    yā-ḳhudā aisī ḳhush-navā.ī de

    jo hamesha use sunā.ī de

    aisī bīnā.ī kar 'atā mujh ko

    har jagah bas vahī dikhā.ī de

    ġham duniyā meñ ai mire mālik

    tāqat-e-sabr-āzmā.ī de

    bhuul kar bhī na bhuul pā.ūñ maiñ

    mere dil meñ vo āshnā.ī de

    maiñ ne zaḳhmoñ ko phuul kar Daalā

    ab masīhā mujhe duhā.ī de

    chand din meñ to kuchh nahīñ hotā

    zindagī de to intihā.ī de

    ik qasīda 'azal' bhī likkhegī

    mere lafzoñ ko raushnā.ī de

    ya-KHuda aisi KHush-nawai de

    jo hamesha use sunai de

    aisi binai kar 'ata mujh ko

    har jagah bas wahi dikhai de

    gham ki duniya mein ai mere malik

    taqat-e-sabr-azmai de

    bhul kar bhi na bhul paun main

    mere dil mein wo aashnai de

    main ne zaKHmon ko phul kar Dala

    ab masiha mujhe duhai de

    chand din mein to kuchh nahin hota

    zindagi de to intihai de

    ek qasida 'azal' bhi likkhegi

    mere lafzon ko raushnai de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now