ya mulaqat ke imkan se bahar ho ja
yā mulāqāt ke imkān se bāhar ho jā
yā kisī din mirī fursat ko mayassar ho jā
tujh ko ma.alūm nahīñ hai mirī ḳhvāhish kyā hai
mujh pe ehsān na kar aur subuk-sar ho jā
irtiqā kyā tirī qismat meñ nahīñ likkhā hai
ab tamannā se guzar merā muqaddar ho jā
maiñ jahāñ paañv rakhūñ vaañ se bagūlā uTThe
reg-e-sahrā mirī vahshat ke barābar ho jā
ai mire harf-e-suḳhan tū mujhe hairāñ kar de
to kisī din mirī ummīd se baḌh kar ho jā
ya mulaqat ke imkan se bahar ho ja
ya kisi din meri fursat ko mayassar ho ja
tujh ko malum nahin hai meri KHwahish kya hai
mujh pe ehsan na kar aur subuk-sar ho ja
irtiqa kya teri qismat mein nahin likkha hai
ab tamanna se guzar mera muqaddar ho ja
main jahan panw rakhun wan se bagula uTThe
reg-e-sahra meri wahshat ke barabar ho ja
ai mere harf-e-suKHan tu mujhe hairan kar de
to kisi din meri ummid se baDh kar ho ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.