ya-rab hayat-e-ishq meri be-maza na ho
yā-rab hayāt-e-ishq mirī be-mazā na ho
jiite jī dil se dard-e-mohabbat judā na ho
hai kaun sā jahāñ meñ vo ādāb-e-mai-kashī
jis se mirā shu.ūr-e-ġhazal āshnā na ho
un ke huzūr yā to dahan lā-zabāñ rahe
muñh meñ zabān ho to koī mudda.ā na ho
merī tabāhiyoñ pe vo nādim na hoñ agar
din raat mere haq meñ ḳhudā se duā na ho
ai chashm-e-yār terī ināyat kā shukriya
vo dard-e-dil diyā hai ki jis kī davā na ho
ya-rab hayat-e-ishq meri be-maza na ho
jite ji dil se dard-e-mohabbat juda na ho
hai kaun sa jahan mein wo aadab-e-mai-kashi
jis se mera shuur-e-ghazal aashna na ho
un ke huzur ya to dahan la-zaban rahe
munh mein zaban ho to koi muddaa na ho
meri tabahiyon pe wo nadim na hon agar
din raat mere haq mein KHuda se dua na ho
ai chashm-e-yar teri inayat ka shukriya
wo dard-e-dil diya hai ki jis ki dawa na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.