yaad aata hai tumhaara har ek andaz mujhe
yaad aatā hai tumhārā har ik andāz mujhe
jab se bichhḌe ho diye jaate ho āvāz mujhe
talḳhiyāñ saare zamāne kī pilā de mujh ko
mere saaqī na kar aise nazar-andāz mujhe
maiñ ne aflāk kī har rāhguzar dekhī hai
ab kahāñ le ke chalī quvvat-e-parvāz mujhe
jab bhī maazī kī kitāboñ ke varaq ulTe haiñ
dāstāñ likhne ko milte ga.e alfāz mujhe
ai 'jamīla' na khulā rāz-e-haqīqat na sahī
zarre zarre kī nazar lagtī hai ġhammāz mujhe
yaad aata hai tumhaara har ek andaz mujhe
jab se bichhDe ho diye jate ho aawaz mujhe
talKHiyan sare zamane ki pila de mujh ko
mere saqi na kar aise nazar-andaz mujhe
main ne aflak ki har rahguzar dekhi hai
ab kahan le ke chali quwwat-e-parwaz mujhe
jab bhi mazi ki kitabon ke waraq ulTe hain
dastan likhne ko milte gae alfaz mujhe
ai 'jamila' na khula raaz-e-haqiqat na sahi
zarre zarre ki nazar lagti hai ghammaz mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.