Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad aate hi rahe dil se nikale hue log

Farhat Zahid

yaad aate hi rahe dil se nikale hue log

Farhat Zahid

MORE BYFarhat Zahid

    yaad aate rahe dil se nikāle hue log

    kis mīrās the aur kis ke havāle hue log

    shahr-āshob meñ aañsū tarah phirte haiñ

    haa.e vo log kisī ḳhvāb ke paale hue log

    avval avval to hamārī tarah lagte the

    mansab-e-ishq pe aa.e to nirāle hue log

    jaane kis samt unheñ talḳhī-e-daurāñ le jaa.e

    apnī pahchān ko nezoñ pe uchhāle hue log

    ek rut aa.ī ki ḳhushbū tarah phail ga.e

    aur phir vaqt maujoñ ke havāle hue log

    yaad aate hi rahe dil se nikale hue log

    kis ki miras the aur kis ke hawale hue log

    shahr-ashob mein aansu ki tarah phirte hain

    hae wo log kisi KHwab ke pale hue log

    awwal awwal to hamari hi tarah lagte the

    mansab-e-ishq pe aae to nirale hue log

    jaane kis samt unhen talKHi-e-dauran le jae

    apni pahchan ko nezon pe uchhaale hue log

    ek rut aai ki KHushbu ki tarah phail gae

    aur phir waqt ki maujon ke hawale hue log

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now