Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad aati hai mujhe jab KHush-bayani aap ki

Nasiri Lakhnavi

yaad aati hai mujhe jab KHush-bayani aap ki

Nasiri Lakhnavi

MORE BYNasiri Lakhnavi

    yaad aatī hai mujhe jab ḳhush-bayānī aap

    kuchh na.e lafzoñ meñ kahtā huuñ kahānī aap

    aap ne parvā na maiñ qaid-e-hastī se chhuTā

    mehrbānī ho ga.ī nā-mehrbānī aap

    qatl zid hai nazākat se nahīñ uThtī hai teġh

    dīdanī hai aaj to shān-e-javānī aap

    jānñe vāloñ se parda is qadar be-kār hai

    husn zāhir sab pe aur ye lan-tarānī aap

    marne vaale kar ke āñkheñ band qabroñ meñ ga.e

    vāh-vā kis shaan se aa.ī javānī aap

    dāġh-e-ulfat is liye siine meñ rakkhā hai nihāñ

    koī mere paas kyoñ dekhe nishānī aap

    yaad aati hai mujhe jab KHush-bayani aap ki

    kuchh nae lafzon mein kahta hun kahani aap ki

    aap ne parwa na ki main qaid-e-hasti se chhuTa

    mehrbani ho gai na-mehrbani aap ki

    qatl ki zid hai nazakat se nahin uThti hai tegh

    didani hai aaj to shan-e-jawani aap ki

    jaanne walon se parda is qadar be-kar hai

    husn zahir sab pe aur ye lan-tarani aap ki

    marne wale kar ke aankhen band qabron mein gae

    wah-wa kis shan se aai jawani aap ki

    dagh-e-ulfat is liye sine mein rakkha hai nihan

    koi mere pas kyon dekhe nishani aap ki

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now