yaad aaya hai jab koi dipak jale
yaad aayā hai jab koī dīpak jale
dil ke āñgan meñ ġham ke jhakore chale
raas aa.ī na shāyad chaman kī havā
dekh vahshī tire sū-e-sahrā chale
aarzū koī dil meñ hai ab is tarah
jis tarah raakh meñ koī sho.ala pale
zindagī kyā hai ye dekhnā ho jise
mere hamrāh vo mai-kade ko chale
mehrbānī ho yā koī un kā sitam
mujh se tarse hue ko haiñ donoñ bhale
'nāzim' āḳhir vo ḳhuddāriyāñ kyā huiiñ
aaj us bazm meñ be-bulā.e chale
yaad aaya hai jab koi dipak jale
dil ke aangan mein gham ke jhakore chale
ras aai na shayad chaman ki hawa
dekh wahshi tere su-e-sahra chale
aarzu koi dil mein hai ab is tarah
jis tarah rakh mein koi shoala pale
zindagi kya hai ye dekhna ho jise
mere hamrah wo mai-kade ko chale
mehrbani ho ya koi un ka sitam
mujh se tarse hue ko hain donon bhale
'nazim' aaKHir wo KHuddariyan kya huin
aaj us bazm mein be-bulae chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.