yaad ashkon mein baha di humne
yaad ashkoñ meñ bahā dī ham ne
aa ki har baat bhulā dī ham ne
gulshan-e-dil se guzarne ke liye
ġham ko raftār-e-sabā dī ham ne
ab usī aag meñ jalte haiñ jise
apne dāman se havā dī ham ne
din añdheroñ kī talab meñ guzrā
raat ko sham.a jalā dī ham ne
rah-guzar bajtī hai paa.el kī tarah
kis kī aahaT ko sadā dī ham ne
qasr-e-ma.ānī ke makīñ the phir bhī
tai na kī lafz kī vaadī ham ne
ġham kī tashrīh bahut mushkil thī
apnī tasvīr dikhā dī ham ne
yaad ashkon mein baha di hum ne
aa ki har baat bhula di hum ne
gulshan-e-dil se guzarne ke liye
gham ko raftar-e-saba di hum ne
ab usi aag mein jalte hain jise
apne daman se hawa di hum ne
din andheron ki talab mein guzra
raat ko shama jala di hum ne
rah-guzar bajti hai pael ki tarah
kis ki aahaT ko sada di hum ne
qasr-e-maani ke makin the phir bhi
tai na ki lafz ki wadi hum ne
gham ki tashrih bahut mushkil thi
apni taswir dikha di hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.